Wednesday, September 1, 2010

Sher-e-Khuda jo haath se thaamay thay apna sar
Khoon dono kuhniyon se tapakta tha khaak per
Bhaga jo Ibne Muljim bad-kho bad-gohar
Pakra ussay Ali(AS) ke muhibou'n ne daur kar
Laye jo haath bandh ke Moula(AS) ke saamnay
Qatil pe muskura ke nazar ki Imam(AS) ne
Farmaya mein ne konsi ki thi teri khata
Padaash naikiyon ki jahan mein yahi hai kya
Kya mein bura Imam tha ay baaniye jafa
Roya woh sar jhuka ke tu Moula(AS) ne ye kaha
Iss dard mein bhi sabkay marz ki dawa hon mein
Bandho na iskay haath ke Mushkil Kusha hon mein...

No comments:

Post a Comment