Tuesday, August 17, 2010

One upon a time at sehri

Eik dafa ka zikr hai ke eik Ann thi, eik uski ami huzoor thin aur eik Shehzadi sahiba thi(uska naam waqai Shehzadi tha). Eik din Shehzadi sahiba ne Ann ko aker sehri ke liya jagana chaha magar phir usay na kaam ho ker wapis jana para. Us ne soocha mein Ann se kis tarah is shikast ka badla le sakti hon, aakhirkaar ussay eik tarkeeb zehan mein ayi. Usne soocha kion na mein Ann ke half-fried egg mein bohat sari mirchain daal dun. Us ne foran apne is khayal per amal kiya aur dil khool ker anday per laal mirchain daal diin. Ann ne jab apne half-fried egg ki yeh khoobsurat shakal dekhi tu hairaan rehgayi. Murghi ka woh mazloom andaa puri tarah se surkh horaha tha. Ann ne soocha yeh mein kaise khaonge. Phir uss ne Shehzadi se kaha ke yeh tum ne kya kardiya hai itni sari laal mirchain daal dii hain, tu Shehzadi sahiba ne masoom se shakal bana ker farmaya ke 'zyada dal gayi hain kya magar mein tu bas zara se daalti hon'. Ann ne apna sar pakar liya, phir usne uss half-fry ki cleansing ker ke usko nosh farmaya. Jis waqt Ann woh mazloom andaa nosh farma rahi thi tu Ann ka dil chaha biryani khanay ko. Ann iss tarah ke khana sehri mein normally nahi khati hai but uss din uska dil chaha tu usne S. se kaha ke 'please mere liye biryani garam kardo' (suston ki sardarni). Magar S. sahiba bhi ami ke bedroom ke bahar kharay kharay he uski baat ka jawab derahi thi lehaza ami ke kaan mein biryani ka naam pargaya. Ami ne S. se maloom kiya ke Ann sahiba kya farma rahi hain tu S. ne foran he yeh baat unke gosh-guzaar kardi. Aur phir Ann ko biryani tu naseeb na hoi bas ami ki halki phulki daant khanay ko milgayi. Ami ka kehna tha ke Ann sahiba aap pagal hoi hain jo 2 din pehle ki biryani sehri mein kha ker apni tabiyat kharab karaingi. Ann sahiba khamosh hogayi aur chup chaap murghi ke mazloom anday per iqtefah kiya. Ab koi iss zalim samaaj ko sumjhaye ke agar 2 din pehle ki biryani nahi khaye jaasakti tu woh becharay mazloom logon ka dil jalane ke liye refrigerator mein rakhi he kion hoyi hai. Hmph. Aur phir namaz se farigh hoker Ann hansi khushi sogayi. Khatam shud.

(Iss kahani ke tamam kirdar haqeeqi hain, shehzadi sahiba bhi. Yeh kahani bhi haqeeqat per mabni hai, haan bas yeh ke shehzadi sahiba ne koi badla wadla lene ke liye itni sari mirchain nahi daali thi woh tu bas unko harri harri soojh rahi hogi, ya phir shayad surkh surkh soojh rahi hogi iss liye usne aisa kardiya)

2 comments:

Anonymous said...

really, a hilarious post :D :D..nicely written raam kahani of urs :)
MORAL: Ann sahiba ki kismat mein aanday ki sehri hi likhi hai..so unhein spicy stuff k bare mein sochna nhi chahiye :p

Sunkee Ann said...

:)

Post a Comment