Ehsaas ki ek Nehj-e-Balagha hai Sakina(SA)
Iss baat se mehsoos karo kya hai Sakina
Abbas (AS) ke honton ka qasida hai Sakina
Aina-e-Zehra(SA) mein jo dekha tera bachpan
Har aks pukara ke tuu Zehra(SA) hai Sakina
Jo pyaar ke parcham ki alamdaar hai ab tak
Abbas ki woh pyari Sakina hai Sakina
Abbas ki nazron se koi parh ke tou dekhe
Ehsaas ki ek Nehj-e-Balagha hai Sakina
Jo mashk mein bhar sakta hai dunya ke samandar
Kaunain mein bas woh tera saqqa hai Sakina
Har umr ke Haider(AS) ne jhulaya tera jhula
Yeh Auj faqat tuu ne he paya hai Sakina
Darya ke lab nouk-e-qalam chuum rahey hain
Meine abhi likha nahin, soocha hai Sakina
Rehan ki suurat woh sarafraz rahega
Jis ne teri dehleez ko chuuma hai Sakina
Abbas ke honton ka qasida hai Sakina...
2 comments:
Yeh mashk nahi baandhi hai Ghazi ke Alam se
Taaweez Alamdaar ke baandha hai Sakina
Oh :) Thank you. Missed it.
Post a Comment