Sunday, January 15, 2012

Aay musalmaa'n...

Aay musalmaa'n kaash socha hota
Kay Muhammad (SAWAW) ka nawaasa hai yeh
Halat-e-sajda mein hai baykas-o-majboor bhi hai
Aur kaee roz ka pyaasa hai yeh

Boli Zainab(SA) zulm Shabbir(AS) pe dhaanay waalo'n
Patharou'n kay talay ma'iyat ko chhupanay waalo'n
Haye kaandhay pe uthatay thay jinhein Khatmay Rasul (SAWAW)
Meray us bhai ka laasha hai yeh

Jis ka Ghazi(AS) na raha aur Ali Akbar(AS) na bacha
Bhai ki laash pay khul kay jisay ronay na diya
Aaj matam sar-e-bazaar jo hum kartay hay
Issi Zainab(SA) ka dilaasa hai yeh

Sayyedoun ka bhara ghaar baar jalaya kyun hai
Bibiyon ko sar-e-bazaar phiraaya kyun hai
Tu ne tou yeh bhi na socha ke jo qaidi hain banay
Paak Zahra(SA) ka asaasa hain yeh

Main hun Zainab(SA) mujhe Haider(AS) tu sumajta kyun hai
Sun kay khutba mera mal’oon bigarta kyun hai
Boli Zainab(SA) ke yeh khutba hi nahin sun aay Yazid
Paak Quran ka khulaasa hai yeh

Saani-e-Zahra(SA) ki Akhtar yeh ataa hai tujhko
Noha likhnay ke liye dard mila hai tujh ko
Tere alfaaz mein hai Fatima Zahra(SA) ki dua
Tera andaaz judaa sa hai yeh

1 comment:

Post a Comment