Aay ghairat-e-Maryam tera bazaar mein jana
Na bhool sakay ga issay ta-hashr zamaana
Haye Zainab-o-Kulsum ki chhinti hain rida’ein
Jao aray lougo'n mere Ghazi ko bulana
Tu dukhtar-e-Zehra hai nawaasi hai Nabi (SAWAW) ki
Sar nangay tera Shaam ke bazaar mein jana
Ab khaak pe soye gi Sakina teri kaisay
Tha tu ne sikhaaya ussay seenay pe sulana
Mar jaa'yn jo shouhar tou panaah dete hain bhai
Kubra kahan jaye na raha koi thikaana
Uthti nahin baba se teri laash Ali Akbar
Tha tu ne he baitay mere laashay ko uthana
Aay ghairat-e-Maryam tera bazaar mein jana...
No comments:
Post a Comment