Hawa'ain gumsum, har soo andhera
Haye woh shaam-e-ghareeba'n
Jalti zameen per tifl pareshan-o-hirasa'n
Raawi bayan karta hai you'n gham ka majra...
Darauna jungle, hai raat andheri
Sitare kuch jhilmila rahe hain
Paray hain raiti pe chand laashay
Jo apna gham aap utha rahay hain
Darauna jungle, hai raat andheri
Sitare kuch jhilmila rahe hain
Shikasta hathyaar kuch paray hain
Yeh loog shayad yahan laray hain
Laray tou woh honge jo baray hain
Nazar tou bachay bhi arahe hain
Darauna jungle, hai raat andheri
Sitare kuch jhilmila rahe hain
Harrum pe kya guzri baad inke
Nahin zaroorat ke koi poochey
Jalay howey jo paray hain khaimay
Woh inka lut'na bata rahe hain
Darauna jungle, hai raat andheri
Sitare kuch jhilmila rahe hain
Yeh loog hain kaun khandaa'n ke
Jo koi poochey tou kis se poochey
Musafir atay hain jo idher se
Woh raah qatra ke ja rahe hain
Darauna jungle, hai raat andheri
Sitare kuch jhilmila rahe hain
Na koi murdon pe rooney wala
Na koi zakhmon ko dhonay wala
Parinde kuch kar rahe hain naala
Darinde kuch khaak ur'ra rahe hain
Darauna jungle, hai raat andheri
Sitare kuch jhilmila rahe hain
Paray hain maqtal mein jitne laashay
Kisi badan mein bhi sar nahin hai
Sar unke kaatay sitamgaro'n ne
Woh sar harrum ko dikha rahey hain
Darauna jungle, hai raat andheri
Sitare kuch jhilmila rahe hain
Woh eik mastoor ya za'eefa
utha ke hathon mein chaubay khaima'n
Uthi hai dainay harrum ka peh'ra
La'een jin ko darra rahey hain
Darauna jungle, hai raat andheri
Sitare kuch jhilmila rahe hain
Shifa'atey hashr karne waley
Kahain jo woh kar guzarne waley
Ghayoor hain yeh woh marne waley
Jo hum ko ab tak rul'a rahey hain
Darauna jungle, hai raat andheri
Sitare kuch jhilmila rahe hain
4 comments:
UFF! Beauty :)
Speechless
Epic !
Indeed.
Post a Comment