Monday, October 11, 2010

Engravings

Aapka dil bohat bara hai magar mera nahin. Aap sab mauf karsakte hain magar mein nahin. Aap bohat aa'la zarf hain magar mein itna zarf kahan se la'on?

Woh loog tou mere qusurwaar bhi nahin, aapko he haq hai unhein mauf karna ka magar beharhaal mein unhain phir bhi mauf nahin karsakti us sab ke liye jo unhon ne aap ke saath kiya.

Mujhey sumujhna he nahin hain aapke khoon ke rishton ke falsafo'n ko. Khoon ka rishta hai tou kiya sirf aapka hai, unka koi rishta nahin? Mera rishta bhi hai tou sirf aapki waja se. Aap darguzar se kaam lain kion ke aap dil aur khoon ke hathon majboor hain. Meri aisi koi majboori nahin hai.

Rishton ko qa'im rakhne ke liye ehsaas darkaar hota hai, aur yahan... yahan tou ehsaas naam ki kisi chirya ka guzr he nahin howa kabhi.

Aap nibhaye yeh khoklay rishtey, mujhse nahin hosakta.

Izzat karna, beharhaal, mujhper wajib hai.

No comments:

Post a Comment