Asar uss ko zarra nahin hota
Ranj raahat fazaa nahin hota
Tum hamaray kisi tarah na huwe
Warna duniya mein kya nahin hota
Naarasaaii se dam rukay tou rukay
Mein kisi se Khafa nahin hota
Tum meray paas hotay ho goya
Jab koi duusra nahin hota
Haal-e-dil yaar ko likhouN kion ker
Haath dil se judaa nahin hota
Kion sunnay arz-e-muztarib ae Momin
Sanam aaKhir Khudaa nahin hota
2 comments:
I think 'Momin' needs to consult 'Zalim Sanam qadmon mein' wale baba ji..
Here is another one from momin..
Shab jo masjid mein ja phansay momin
Raat kaati khuda khuda kr k
Post a Comment