Wednesday, November 7, 2012

Introspect

Main tujhay chahta nahi laikin
phir bhi jab paas tu nahi hoti
khud ko kitna udaas pata hoon
gom say apnay hawaas pata hoon
janay kya dhun samai rehti hai
ik khamoshi si chai rehti hai
dil say bhi guftagu nahi hoti

Main tujhay chahta nahi laikin
phir bhi reh reh kay meray kanon mein
goonjti hai teri haseen aawaz
jaisay na-deeda koi bajta saaz
har sada nagawar hoti hai
dil ki dharkan bhi baar hoti hai
in sukoot-ashna taranon mein

Main tujhay chahta nahi laikin
phir bhi shab ki taweel khilwat mein
teray awqaat sochta hoon main
teri har baat sochta hoon main
kon say phool tujh ko bhaatay hain
rang kya kya pasand aatay hain
kho saa jata hoon teri jannat mein

Main tujhay chahta nahi laikin
phir bhi ehsaas say nijaat nahi
sochta hoon to ranj hota hai
dil ko jaisay koi dubota hai
jis ko itna sarahta hoon main
jis ko iss darjaa chahta hoon main
us mein teri si koi baat nahi

- Janisar Akhtar

No comments:

Post a Comment