Khuloos-e-dil ki roshnaee lay ker
Ba-deed-e-ter Hussain likhna
Tum aisa karna kitab-e-dil ke
Warq warq per Hussain likhna
Kasheed ker gulab ka arq
Fiza main peham charrak'na usko
Phir in sunehri fiza'oun per tum
Roshni ka paiker Hussain likhna
Azaan daingi tumhari aankhain
Namaz misray adaa karay gi
Tum aisa karna ke raah-e-Haq main
Hussain perh ker Hussain likhna
Haroof khushboo k phool bun ker
Tumharay seenay main khil uthaingay
Tum aisa karna k apni aankhon
Aur aapne lub per Hussain likhna
Tumharay tareek manzar'oun main
Ujalay phootaingay noor bun ker
Tum aisa karna k apnay ghar main
Darood parh ker Hussain likhna
Hussain likh ker phir usko likhna
Phir isko likh ker tum aisa karna
Ke aaj tak jo bhi likha ho
Tum uska mehwar Hussain likhna
Wo barchiyaa'n wo chamktay khanjer
Wo taptay sehra pukarty hain
Tum aisa kerna ke Karbala ke
Badan pe ja ker Hussain likhna
Ager kitabat ka shouq ho to
Kitab-e-sabr-o-raza main Rahat
Jahan shaheedou'n ka naam likhna
Tou sub se oper Hussain likhna
-Syed Rahat Hussain Rahat
No comments:
Post a Comment