Tuesday, January 8, 2013

Pophoo ne eik martaba bachpan mein meri donon hatheliyaan jorr ker haathoun ka baghour  jaaiza lete huwe kaha tha ke, yeh jo ' ب ' (bay) ban raha hai na, kehte hain ke woh shaks barra bakht wala hota hai.

Uss lamhay nadaan sa zehra bohat khush huwa tha, mera tou bilkul perfect ب banta hai... kissi ne barray he rashk se soocha tha.

Aur aaj... jurri huwi hatheliyoun ke imperfect aur incomplete se ب ke saath, unki baat ka yaqeen karne ko dil chahta hai.





1 comment:

majworld said...

This 'bay' theory seems interesting. Btw the bottom dot of 'bay' should also be part of the haathon ki lakeer to make one lucky?

Post a Comment