Lagta nahin hai ji mera ujrray dyaar mein
Kis ki bani hai aalam-e-napa'edaar mein
Bulbul ko paasbaan se na siyaad se gila
Kismat mein qaid thi likhi fasl-e-bahaar mein
Keh dou yeh hasratoun se kaheen aur ja basain
Itni jagah kahan hai dil-e-daaghdaar mein
No comments:
Post a Comment