Sunday, May 13, 2012

Shan-e-bint-e-Rasool (saww)

Bibi(SA) teri jageer hai jannat bhi, Fidak bhi,

Yeh jabl, yeh ashjaar, yeh paani, yeh falak bhi,

Bibi tere haq mehr mein shaamil hai namak bhi,

Bus teri zameeno'n pe bassi jaati hai duniya,

Sadiyou'n se faqat tera namak khaati hai duniya.


Published with Blogger-droid v2.0.4

1 comment:

B. said...

Aalam main youn shareek-e-risalat hain Fatima(sa)
Rehmat Nabi(saww) hain Saya-e-Rehmat hain Fatima(sa)

Shohar Wali, Pidar hain Payamber, Pisar Imam
Kitni azeem deen ki taqat hain Fatima(sa)

Maryam ka Fatima(sa) se bhala kia muqaabla
Maryam tou abida hain Ibadat hain Fatima(sa)

Dasht-e-Mubahila main Payamber ko daikh ker
Kehna paray ga juzv-e-risalat hain Fatima(sa)

Dono ke ishteraaq se sajda qabool hai
Haider(as) ager namaz hain niyat hain Fatima(sa)

Post a Comment